- Tum Haqiqat Nahin Ho Hasrat Ho,Jo Miley Khwaab Mein Woh Daulat Ho..Main Tumhaare Hi Dum Se Zindaa Hun,Marr Hi Jaun Jo Tumse Fursat Ho..Kis Tarah Chor Dun Tumhe Jaana,Tum Meri Zindagi Ki Aadat Ho..Daastan Khatam Honey Waali Hai,Tum Meri Aakhri Mohabbat Ho..!!
Monday, December 21, 2009
TuM ~ ZinDaGi Ho..!!
Friday, April 24, 2009
KhaaMosH.. ....

Chaand Sitaare Shajar Hajar Khaamosh..
Har Taraf Ek Muheeb Sannaata
Dil Dhadhakataa Toh Hai Magar Khaamosh..
Huye Jaate Hai Kis Liye Aakhir
Humsafar Baat Baat Par Khaamosh..
Mukhtasar Ho Na Ho Shab-e-Taarikh
Humko Jalnaa Hai Raat Bhar Khaamosh..
Jaane Kya Baat Kar Rahey The Ki Hum
Ho Gaye Ek Naam Par Khaamosh.. ....!!
Saturday, April 11, 2009
AkSe KhusHBoo HuN..

Akse Khushboo Hun Bikharney Se Na Rokey Koyi,
Aur Bikhar Jaun Toh Mujhko Na sametey Koyi..
Kaanp Uth-ti Hun Main Yeh Sochke Tanhayi Mein,
Mere Chehre Pe Tera Naam Na Padh Le Koyi..
Jis Tarah Khwaab Mere Ho Gaye Reza-Reza,
Is Tarah Se Na Kabhi Tootke Bikhrey Koyi..
Ab Toh Is Raah Se Woh Shakhs Guzarta Bhi Nahin,
Ab Kis Umeed Pe Darwaaze Se Jhaakey Koyi..!!
Wednesday, March 25, 2009
MoHabbaT MeiN GhaM Ki aDaa De GaYa..

Mohabbat Mein Gham Ki Adaa De Gaya
Jaate Jaate Zindagi Ki Duya De Gaya..
main Dhoondti Rahi Aahatey Uski
Woh Tanhaaiyon Ko Mera Pata De Gaya..
Chehre Pe Zaahir Na Honey De Koyi Daastan
Woh Aankhon Mein Mohabbat Ki Hayaa De Gaya..
Dil Mein Yun Toh Dafan Kiye The Tamaam Haalat
Par Woh Meri Khaamoshiyon Ko Hi Zuban De Gaya..
Saturday, February 21, 2009
TuteY HuYe KhwaB..!!

Hum Padh Rahey The Khwab Ke Purzon Ko Jodh Ke,
Aandhi Ne Yeh Tilism Bhi Rakh Daala Todh Ke..
Aaghaz Kyon Kiya Tha Safar Un Khwabon Ka,
Pachtaa Rahey Ho Sabz Zameenon Ko Chodh Ke..
Ek Bund Zeher Ke Liye Faila Rahey Ho Haath,
Dekho Kabhi Khud Apne Badan Ko Nichodh Ke..
Kuch Bhi Nahin Jo Khwab Ki Tarah Dikhayi De,
Koyi Nahin Jo Humko Jagaaye Jhinjodh Ke..
In Paaniyon Se Koyi Salaamat Nahin Gaya,
Hain Waqt Ab Bhi Kashtiyaan Le Jaao Modh Ke..!!
GhaM Ki BaaRisH..!!

Gham Ki Baarish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nahin,
Tuney Mujhko Kho Diya Maine Tujhe Khoya Nahin..
Neend Ka Halka Gulaabi-Saa Khumar Aankhon Mein Tha,
Yun Laga Jaise Woh Shab Ko Der Tak Soya Nahin..
Har Taraf Deewar-o-Dar Aur UnMein Aankhon Ka Hujuum,
Keh Sakey Jo Dil Ki Haalat Woh Lab-e-Goya Nahin..
Jurm Aadam Ne Kiya aur Nasl-e-Aadam Ko Sazaa,
Kaat-ta Hun Zindagi Bhar Maine Jo Boyaa Nahin..
Jaanta Hun Ek Aise Shaksh Ko Main Bhi,
Gham Se Patthar Ho Gaya Lekin Kabhin Roya Nahin..!!
Friday, February 20, 2009
ApNa WajooD BhuL GaYi..!!

Mujhse Mera Kya Rishta Hai Har Ek Rishta Bhul Gayi,
Itne Aaine Dekhe Hai Apna Chehra Bhul Gayi..
Ab Toh Yeh Bhi Yaad Nahin Hai Farq Tha Kitna Dono Mein,
Uski Baatein Yaad Rahin Uska Lehjaa Bhul Gayi..
Pyaasi Dharti Ke Hothon Par Mera Naam Nahin Toh Kya,
Main Woh Baadal Ka Tukdha Hun Jisko Dariya Bhul Gaya..
Duniya Waale Kuch Bhi Kahey Apni Majboori Hai,
Uski Gali Jab Yaad Aayi Hai Ghar Ka Rasta Bhul Gayi..
Sunday, January 11, 2009
DiL MeRa YaaDeiN UsKi..!!

Khamoshi Mein Bhi Woh Baate Uski..
Mere Chehre Pe Ghazal Likhati Gayi
sher Kehti Huyi Aankhe Uski..
Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagin
Tez Hoti Huyi Saanse Uski..
Aise Mausam Bhi Guzaare Humne
Subah Jab Apni Thi Shaame Uski..
Dhayan Mein Uske Yeh aalam Tha Kabhi
Aankh Maahatab Ki Yaadein Uski..
Faisla Mauj-e-Hawaa Ne Likha
Aandhiyan Meri Bahaare Uski..
Neend Is Soch Se Tutti Aksar
Kis Tarah Kat-ti Hai Raate Uski..
Dur Rehkar Bhi Sadaa Rehti Hai
Mujhko thaame Huye Baahein Uski..
Saturday, January 10, 2009
Aye IshQ..!!
Hum Bhule Huon Ko Yaad Na Kar
Pehle Hi Bahut Naashad Hai Hum
Tu Aur Humein Naashad Na Kar
Qismat Ka Sitam Hi Kam Nahi
Kuch Yeh Taaza Sitam Ijaad Na Kar
Yun Zulm Na Kar Bedaad Na Kar
Ayr Ishq Humein Barbaad Na Kar..
Yeh Rog Laga Hai Jabse Humein
Ranjida Hun Main Bimaar Hai Woh
Har Waqt tapish Har Waqt Khalish
Be-Khwab Hun Main Bedaar Hai Woh
JeEney Se Idhar Bezaar Hun Main
Marne Pe Udhar Tayyar Hai Woh
Aur Zabt Kahe Fariyaad Na Kar
Ayr Ishq Humein Barbaad Na Kar..
Ummid Ki Jhuti Jannat Ke
Reh Reh Ke Na Dikhla Khwab Humein
Aainda Ke Farzi Ishrat Ke
Waade Se Na Kar Betaab Humein
Kehta Hai Zamaana Jisko Khushi
Aati Hai Nazar Kaamyaab Humein
Chor Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Humein Barbaad Na Kar..
Duniya Ka Tamaasha Dekh Liya
Gumgeen Si Hai Betaab Si Hai
Ummid Yahan Ek Wehem Si Hai
Taskin Yahan Ek Khwab Si Hai
Duniya Mein Khushi Ka Naam Nahi
Duniya Mein Khushi Naayab Si Hai
Duniya Mein Khushi Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Humein Barbaad Na Kar..
Friday, January 9, 2009
KhuShboo JaiSe LoG MiLey aFsaNe MeiN..!!
Ek Puraana Khat Khola Anjaane Mein..
Jaane Kis Ka Zikr Hai Is Afsaane Mein,
Dard Mazey Leta Hai Jo Dohraane Mein..
Shaam Ke Saaye Baalishton Se Naape Hai,
Chand Ne Kitni Der Laga Di Aaney Mein..
Raat Guzarte shayad Thodha Waqt Lage,
Zaraa Si dhup Undhel Mere Paimaane Mein..
Dil Par Dastak Dene Yeh Kaun Aaya Hai,
Kis Ki Aahat Sunti Hun Viraane Mein..
HaMaaRe ShauQ Ki YeH inTehaaN Thi....!!

Qadam Rakha Ke Manzil Rasta Thi..
Bichar Ke Daar Se Ban-Ban Firaa,
Woh Hiran Ko Apni Kasturi Sazaa Thi..
Kabhi Jo Khwab Tha Woh Paa Liya Hai,
Magar Jo Kho Gayi Woh Cheez Kya Thi..
Main Bachpan Mein Khilone Torta Tha,
Mere Anjaam Ki Woh Ibtidaa Thi..
Mohabbat Mar Gayi Mujhko Bhi Gham Hai,
Mere Acche Dino Ki Aashna Thi..
Jisey Main Chu Lun Woh Ho Jaye Sona,
Tujhe Dekha Toh Jaana Bad-Duya Thi..
Mariz-e-Khwab Ko Toh Ab Shafa Hai,
Magar duniya Badhi Kadhvi Dawaa Thi..
Tuesday, January 6, 2009
YeH DhunD..!!

Manzar Ke Ird-Gird Bhi Aur Aar Paar Dhund,
Aayi Kahan Se Aankh Mein Ye Be-Shumaar Dhund..
Kaise Na Uska Saara Safar Raayegaan Rahey,
Jis Kaarvaan-e-Shauq Ki Hai Raahguzar Dhund..
Kamre Mein Mere Gham Ke Siva Aur Kuch Nahi,
Khirkii Se Jhaankti Hai Kisey Baar-Baar Dhund..
Naatak Mein Jaise Bikhre Hon Kirdaar Jaa-Ba-Jaa,
Fizaa-e-Jaan Mein Hai Yun Be-Qaraar dhund..
Saturday, January 3, 2009
Aye DiL-e-BeTaaB..!!

Tu Bata aye Dil-e-Betaab, Kahan Aatey Hain
Humko Khush Rehney Ke Adaab Kahan Aatey Hain..
Main Toh Yakmusht Usey Saunp Dun Sab Kuch Lekin
Ek Muthi Mein Mere Khwaab Kahan Aatey Hain..
Muddat Baad tujhe Dekh Ke Dil Bhar Aaya
Warna Sehron Mein Sailaab Kahan Aatey Hain..
Meri Bedaar Nigahon Mein Agar Bhuley Se
Neend Aaye Bhi Toh Ab Khwaab Kahan Aatey Hain..
Hum Kisi Tarah Tere Dar Pe Thikaana Kar Le
Hum Fakiron Ko Yeh Adaab Kahan Aatey Hain..
Sar-Basar Jin Mein Faqat Teri Jhalak Milti Thi
Ab Muyassar Humein Woh Khwaab Kahan Aatey Hain..