Tuesday, September 30, 2008

Muqaddar Mera.....


Har Ghadhi Khud Se Ulajhna Hai Muqaddar Mera,
Main Hi Kashti Hun, Mujh Mein Hai Samundar Mera..

Ek Se Ho Gaye Mausamon Ke Chehre Saare,
Meri Aankhon Se Kahin Kho Gaya Manzar Mera..

Kissey Puchu Ke Kahan Gum Hun Kayi Barso Se,
Har Jagah Dhundta Firta Hai Mujhe Ghar Mera..

Muddatein Ho Gayi Ek Khwaab Sunehra Dekhe,
Jaagta Rehta Hai Har Neend Mein Bistar Mera..!!

Zeher Khaa Bethe !!


Hum Unhe Woh Humein Bhula Bethe,
Do Gunah-Gaar Zeher Kha Bethe...

Aandhiyon Jao Ab Araam Karo,
Hum Khud Apna Diya Bhuja Bethe...

Jab Se Bichadhey Woh, Muskuraaye Na Hum,
Sab Ne Chedha Toh Lab Hila Bethe...!!!!

Sunday, September 28, 2008

Woh Anjaan Sa Saaya Mujh Mein...!!?!!


Aag Hai Paani Hai Mitti Hai Hawaa Hai Mujh Mein,
Fir Manaana Parta Hai Ke Khuda Hai Mujh Mein..

Ab Toh Le Deke Wahin Shaks Bacha Hai Mujhe Mein,
Mujhko Mujhse Judaa Karke Jo Chupaa Hai Mujh Mein..

Jitne Mausam Hai Sab Jaise Mil Jaaye,
In Dino Kaise Bataun Jo Fazaa Hai Mujh Mein..

Aaina Yeh Toh Bataata Hai Ke Main Kya Hun,
Lekin Is Pe Hai Khamosh Ke Kya Hai Mujh Mein..

AB TOH BAS JAAN HI DENE KI HAI BAARI AAYI,
MAIN KAHAN TAK KARUN SAABIT KE WAFAA HAI MUJH MEIN..?!

Dil Ki Khamoshi..!!!!


Kaun Kehta Hai Tujhe Maine Bhulaa Rakha Hai
Teri Yaadon Ko Seeney Se Lagaa Rakha Hai..

Lab Pe Aahey Bhi Nahin, Aankh Mein Aasun Bhi Nahin
Dil Ne Har Raaz Mohabbat Ka Chupaa Rakha Hai..

Tuney Jo Dil Ke Andhere Mein Jalayaa Tha Kabhi
Woh Diyaa Aaj Bhi Seeney Mein Jalaa Rakha Hai..

Dekh Jaa Aake Mehektey Huye Zakhmon Ki Bahaar
Maine Ab Tak Tere Gulshan Ko Sajaa Rakha Hai..!!

Saturday, September 27, 2008

Thodhi Dur Saath Chalo..?!?!


Kathin Hai Raah Guzar Thodhi Dur Saath Chalo
Bahut Badhaa Hai Safar Thodhi Dur Saath Chalo..

Tamaam Umr Kahan Koyi Saath Deta Hai
Main Jaanti Hun Magar Thodhi Dur Saath Chalo..

Nashe Mein chuur Hun Main Bhi tumhe Bhi Hosh Nahi
Badha Mazaa Ho Agar Thodhi Dur Saath Chalo..

Yeh Ek Shab Ki Mulaakat Bhi Ganimat Hai
Kisey Hai Kal Ki Khabar Thodhi Dur Saath Chalo..

Abhi Toh Jaag Rahein Hai Chiraag Raahon Ke
Abhi Hai Dur Sahar Thodhi Dur Saath Chalo....

Friday, September 26, 2008

Mukaam-e-Hayaat Paa Naa Sake....


Yeh Din Bahaar Ke Ab Ke Bhi Raas Naa Aa Sake
Ki Gunchey Khil Toh Sake, Khil Ke Muskuraa Naa Sake..

Meri Tabaahi Dil Par Toh Rehem Khaa Naa Saki
Jo Raushni Mein Rahein, Raushani Ko Paa Naa Sake..

Na Jaane Ki Un Aasuon Pe Kya Guzari
Jo Dil Se Aankh Tak Aaye, Daaman Tak Aa Naa Sake..

Nayaa Zamaana Banaane Chale The Deewane
Nayi Zameen, Nayaa Aasmaan Banaa Naa Sake..!!!!

Ye Aur Baat Ki Teri Gali Mein Na Aaye Hum...


Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaye Hum
Lekin Yeh Kya Ki Sheher Tera Chodh Jaaye Hum...

Muddat Huyi Hai Kuu-e-Butaan Ki Taraf Gaye
Aawargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaye Hum...

Be-Noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Ki Fazaan
Taarik Raaston Mein Kahin Kho Na Jaaye Hum...

Uske Bagair Aaj Bahut Jii Udaas Hai
Chalo Kahin Se Usey dhund Laaye Hum...!!!!

Monday, July 28, 2008

Bahut Tanha Hun...!!!!


Kash Khwaabon Mein Hi Aa Jao Nahut Tanha Hun,
Ya Mere Zehen Se Yaadon Ke Diye Gul Kar Do,
Mere Ehsaas Ki Duniya Ko Mita Do Ham-Dam,
Raat Taare Nahin Angaare Liye Aati Hai,
In Baraste Huye Sholon Ko Bujha Do Ham-Dam,
Dil Ki Dharkan Ko Sulaa Jao Bahut Tanha Hun....

Andheri Raat Mein Jab Chand Khilne Lagta Hai,
Tumhare Pyaare Ke Deepak Jala Ke Roti Hun,
Tumhare Aane Ki Jab Aas Jaane Lagti Hai,
Main Chiraagon Ko Khud Hi Bhuja Ke Roti Hun,
Zindagi Aisi Mitaa Jao Bahut Tanha Hun....

Sochte Sochte Jab Soch Bhi Mar Jaati Hai,
Waqt Ke Qadamon Ki aahat Ko Suna Karti hun,
Ashk Thamta Hai To Aahon Ka Dhuya Uthta Hai,
Raat Bhar Yun Hi Tadhapti Hun Jala Karti Hun,
Baar-e-Gham Kuch Toh Ghata Jao Bahut Tanha Hun..!!!!

Thursday, June 5, 2008

Dil Par Gehraa Daag Liye.............


Shehron Shehron Aaj Hai Tanhaa Dil Par Gehra Daag Liye
Galiyon Galiyon Ho Gaye Ruswaa dil Par Gehra Daag Liye..

Aaj Gulistaan Mein Faili Hai Khusboo Teri Yaadon Ki
Mausam-e-gul Hai hum Hai Tanha Dil Par Daag Liye..

Rotey Dhotey Jii Ko Jalaatey Manzil-e-Shab Tak Aa Pahuchey
Chehre Par Hai Gard-e-Tamanna Dil Par Gehra Daag Liye..

Dhundney Unko Sheher-e-Buta Mein aaj Gaye The "Hum Bhi"
Aankh Mein Leke Ghum Ka Dariyaa Dil Par Gehra Daag Liye....!!!!!

Sunday, May 25, 2008

Tasveer Nahi Banti....



Tasveer Banati Hun, Tasveer Nahi Banti

Tasveer Nahi Banti..

Ek Khwaab Sa Dekha Hai, Tabee Nahi Banti

Tasveer Nahi Banti..


Bedard Mohabbat Ka, Itna Sa Hai Afsana

Nazro Se Mili Nazre, Main Ho Gayi Deewani

Ab Dil Ke Behlane Ki Takdeer Nahi Banti

Tasveer Nahi Banti..


Dam Bhar Ke Liye, Meri Duniya Mein Chale Aao

Tarsi Huyi Aankhon Ko, Fir Shakal dikha Jao

Mujhse Toh Meri, Bigadhi Takdeer Nahi Banti

Tasveer Nahi Banti

Woh Unsunii Dua....



Suntey Hai Ki Mil Jaati Hai Har Cheez Dua Se

Ek Roz Tujhe Maang Ke Dekhenge Khuda Se


Duniya Bhi Mili Hai, Gham-e-Duniya Bhi Mila Hai

Woh Kyun Nahi Milta Jisey Manga Tha Khuda Se


Aye Dil Tum Unhe Dekh Ke Kuch Aise Tadhapna

Aajaye Hasi Unko Baithe Hai Khafa Se


Jab Kuch Na Mila Haath Duayo Ko Utha Kar

Fir Haath Uthaane Hi Padhe Humko Dua Se

Thursday, May 22, 2008

Tere Pyaar Mein Is Kadar Qaid Hun!!!!



Main Khayaal-o-Khwaab Ki Laa-Makhaani Mein Qaid Hun

Kahin Apne Dard Ki Rayegaani Mein Qaid Hun


Mujhe Intezaar Woh Laut aayega Ek Din

Main Toh Aaj Bhi Isi Khush-Gunami Mein Qaid hun


Meri Aankh Mein woh Saraab Hai Teri Yaad Ke

Mujhe Lag Raha Hai Main Jaise Paani Mein Qaid hun


Yeh Jo Satar Satar Pe Naksh Hai Meri Daastan

Main Hun Waakiya Jo Kisi Kahaani Mein Qaid hun


Abhi Baat Karna Muhaal Hai Kisi Bhi Baat Par

Abhi Chup Hun Aur Kisi Be-Zubaani Mein Qaid hun

Wednesday, May 21, 2008

Ab Tak Uski Mohabbat Ka Nasha Taari Hai....


Ab Tak Uski Mohabbat Ka Nashaa Taari Hai
Phul Baaki Nahi Khushbu Ka Safar Jaari Hai

Seher Lagta Hai Pasiney Mein Nahayaa Huya Jism
Ajab Khwaab Mein Dubi Huyi Bedaari Hai

Dhayaan Bhi Uska Hai Milatey Bhi Nahi hai ussey
Jism Se Bair Hai Saaye Se Wafaadari Hai

Dil Ko Tanhaayi Ka Ehsaas Bhi Baaki Na Raha
Woh Bhi Dhundhlaa Gayi Jo Shakl Bahut Pyaari Hai

Koyi Aaya Hai Zaraa Aankh Toh Kholo "Shehzad"
Abhi Jaage Toh Abhi soney Ki Tayiyaari Hai

Thursday, May 15, 2008

Woh Yun Gayaa Kii........


Rukhsat Huya Toh Aankh Milakar Nahi Gayaa
Woh Kyun Gaya Hai Yeh Bataa Kar Nahi Gayaa

Yun Lag Raha Hai Jaise Abhi Laut Aayega
Jaate Huye Chiraag Bhuja Kar Nahi Gayaa

Bas Ek Lakeer Khench Gaya Darmiyaan Mein
Deewar Raste Mein Banaa Kar Nahi Gayaa

Shayad Woh Mil Hi Jaaye Magar Justujuu Hai Shart
Woh Apne Naksh-e-Paa Mita Kar Nahi Gayaa

Ghar Mein Hai Aaj Tak Wahi Khushboo Basi Huyi
Lagta Hai Yun Ke Jaise Woh Aa Kar Nahi Gayaa

Tab Tak Toh Phuul Jaisi Hi Tazaa Thi Uski Yaad
Jab Tak Woh Pattiyan Ko Judaa Kar Nahi Gayaa

Rehne Diya Na Usne Kisi Kaam Kaa Mujhe
Aur Khaak Mein Bhi Mujhko Milaa Kar Nahi Gayaa

Tuesday, April 29, 2008

JaHan DeKhuN TuJhe DekHun !!!!



Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaun Jahaan Tak Dekhun

Husn-e-yazdaan Se Tujhe Husn-e-Butaan Tak Dekhun

Tuney yun Dekha Hai Jaise Kabhi Dekha Hi Na Tha

Main Toh Dil Mein Tere Qadmon Ke Nishaan Tak Dekhun


Sirf Is Shauk Mein Puchi Hai Hazaaron Baatein

Main Tera Husn, Tere Husn-e-Bayaan Tak Dekhun


Waqt Ne Zehen Mein Dhundlaa Diye Tere Khadd-o-Khayal

Yun Toh Main Tutey Taaron Ka Dhuyan Tak Dekhun


Dil Gaya Tha Toh Yeh Aankhein Bhi Koyi Le Jaata

Main Fakat Ek Hi Tasveer Kahan Tak Dekhun


Monday, April 21, 2008

TeRe BiN....


Tere Dar Se Uth Kar Jidhar Jaun Main
Chalun Do Qadam Aur Thaher Jaun Main
Agar Tu Khafaa Toh Parvaah Nahin
Tera Gham Khafaa Ho To Mar Jaun Main

Sambhaale Toh Hun Khud Ko Tujh Bin
Magar Jo Chuu Le Koyi Toh Bikhar Jaun Main...

Friday, April 4, 2008

Chubhta Mahaul, Ghuti Ruh, Guzre Lamhe......


Ruh Ki Baat suni, Jism Ke Tewar Dekhe
Iltija Hai Woh Is Aag Mein Jalkar Dekhe

Chubhta Mahaul, Ghuti Ruh, Gurezaan Lamhe
Dil Ki Hasrat Hai Kabhi In Se Nikal Kar Dekhe

Kaise Kar Le Woh Yakeen tujh Par Fareb-e-gam-e-zaat
Teri Raahon Mein Jo Taskik Ke Pathar Dekhe

Baat Ho Sirf Hakikat Ki Toh Seh Le Lekin
Apne Khwaabon Ko Bikharte Koyi Kyun Dekhe

Humse Mat Puchiye Kya Nafs Pe Guzri Umeed
Ek Ek Saans Se Ladhte Huye Lashkar Dekhe

Sunday, March 9, 2008

Ranjish Hi Sahi..!!!!


Ranjish Hi Sahi, Dil Hi Dukhaane Ke Liye Aa

Aa Fir Se Mujhe Chor Ke Jaane Ke Liye Aa

Ranjish Hi Sahi......


Kis Kis Ko Batayenge, Judaii Ka Sabab Hum

Tu Mujhse Khafaa Hai Toh Zamaane Ke Liye Aa


Pehle Se Maraasim Na Sahi, Fir Bhi Kabhi Toh

Rasm-o-Reh Duniya Ki Nibhaane Ke Liye Aa


Ek Umr Se hun Lazzat-e-giriyah Se Bhi Mehroom

Aye Raahat-e-jaan Mujhko Rulaane Ke Liye Aa


Jaise Tujhe Aate Hai Naa Aane Ke Bahaane

Aise Hi Kisi Roz, Naa Jaane Ke Liye Aa


AB TAK DIL-E-KHUSH FEHEM KO TUJHSE HAI UMEEDEY

YEH AAKHRI SHAMME BHI BHUJAANE KE LIYE AA

Thursday, March 6, 2008

Kaise Mitaaye...?!?!



Dil Ki Khwahishon Pe Bandish Kaise Lagaaye

Umeed Jo Tumse Bandhi Hai Usey Kaise Mitaaye...

Tere Intezaar Ki Raah Mein Nigaahey Kaise Na Bichaaye

Jeeney Ka Jo Ek Maksad Bacha Hai Usey Kaise Mitaaye...

Tadhaptey Is Dil Ki Awaaz Tum Tak Kaise Pahuchaaye

Faasley Do Darmiyaan Jo Badh Gaye Hai Unhe Kaise Mitaaye...


Teri Baahon Mein guzri Huyi Shaam Kaise Bhulaaye

Maazi Ke Pannon Pe Teri Likhi Huyi Kahaani Kaise Mitaaye...

Jo Ho Na saka Uska Gam Kab Tak Uthaaye

Jo Ho sakta Tha Uski Aarzoo Kaise Mitaaye...


Aa Bhi Jaa Ke Yeh Silsila-e-Tanhaayi Kisey Sunaaye

Ke dard Thamta Nahi Iske Nishaan Kaise Mitaaye...?!?!

Wednesday, March 5, 2008

Tere Pyaar Mein Yuh Jalte Rahein..!!!!


Kaise Kaise Haadsey Sehtey Rahey

Hum Yuhi Jeetey Rahey Haste Rahey..

Uske Aa Jaane Ki Ummeedey Liye

Raasta Mudh Mudh Ke Hum Takte Rahey..

Waqt To Gujra Magar Kuch Is Tarah

Hum Charaagon Ki Tarah Jalte Rahey..

Kitne Chehre The Humaare Aas-paas

Tum Hi Tum Dil Mein Magar Baste Rahey..