Sunday, March 28, 2010

KiTaaB-e-MaaZi

Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab Kitaab-e-maazi Ko Maine Khola
Bahut Say Chehre Nazar Mein Utrey
Bahut say Namon Pe Dil Paseeja 
Ek Aisa Safha Bhi Us Mein aaya
Likha Huya tha Jo Aasuon Se 
Jiska Unwan "Hamsafar" Tha
Woh Safha Sabse Hi Moutabar Tha
Ek Aur Aasun Fir Us Pe Tapka
Fir Is Se Aagey Main Parh Na Paayi
Kitab-e-Maazi Ko Band Karke
Usi Ki Yadoon Mein Kho Gayi Main
Agar Woh Milta Toh Kaisa Hota
Inhi Khayalon Mein So Gayi Main

Monday, March 22, 2010

JaHaaN ChoR DiYa..


har ek faisala har imtehaan chor diya
na chaahte huye bhi yeh jahaan chor diya
har ek faisala har imtehaan chor diya
har ek faisala.......

jab ismein saans bhi lena muhaal hone laga
toh hamane jism ka aakhir makaan chor diya
na chaahte huye bhi yeh jahaan chor diya
har ek faisala har imtehaan chor diya

zameen ko gher liya gum mein toh kahaan jaate
khuda ka shukr hai jo aasmaan chor diya
na chaahte huye bhi yeh jahaan chor diya
har ek faisala har imtehaan chor diya

bani jo bhoolbhulaiya hamaari raah-guzar
safar hayaat ka fir darmayaan chor diya
na chaahte huye bhi yeh jahaan chor diya
har ek faisala har imtehaan chor diya

Sunday, March 14, 2010

Ab ZinDaGi MeiN MohaBBaT NaHin Hai

jiyenge magar muskuraa naa sakenge,
ke ab zindagii mein mohabbat nahin hai..


labon pe taraane ab aa naa sakenge,
ke ab zindagii mein mohabbat nahin hai..


bahaare chaman mein jab aayaa karengii
nazaro kii mehfil sajaayaa karengii

nazaare bhii ham ko hansa na sakengii,
ke ab zindagii mein mohabbat nahin hai..


jawanii bulaayegii saawan kii raatein
zamaanaa karegaa mohabbat kii baatein
magar ham ye saawan manaa na sakenge,
ke ab zindagii mein mohabbat nahin hai!!

Wednesday, January 20, 2010

ZinDaGi aYe ZinDaGi


jiite rahane kii sazaa de zindagii aye zindagii 
ab to marane kii duaa de zindagii aye zindagii 

main to ab uqtaa gayaa huN kyaa yahii hai qaayanaat 
bas ye aainaa haTaa de zindagii aye zindagii 

DhuNDane nikalaa thaa tujh ko aur Khud ko kho diyaa 
tuu hii ab meraa pataa de zindagii aye zindagii 

yaa mujhe ehasaas kii is qaid se kar de rihaa 
varnaa deewaanaa banaa de zindagii aye zindagii 

Sunday, January 17, 2010

TeRa iNteZaaR



Jaan-e-Sukoon Aa Bhi Jaa Tera Hi Intezaar Hai,
Aankhon Se Ashk Hai Ravaan Jaan Bhi Beqaraar Hai..

Honey Ko Fasl-e-Gul Bhi Hai Daavat-e-Aish Hai Magar,
Apni Bahaar Ka Mujhe Aaj Bhi Intezaar Hai..

Saare Sahaare Ishq Ke Toot Chukey Hai Hijr Mein,
Ek Tumhaari Yaad Bas Dard Ki Gham-Gusaar Hai..

Ahad-e-Wafa Ka Aap Ke Luft-o-Karam Ka Aap Ke,
Aur Kisi Ko Ho Na Ho Mujhko Aitabaar Hai..

Lutt Gayi Gham Ki Aabroo Lutt Chuki Hai Dil Ki Aarzoo,
Nigaah-e-Lutf Ka Fir Bhi Umeed-Vaar Hai..!!

Monday, December 21, 2009

TuM ~ ZinDaGi Ho..!!




Tum Haqiqat Nahin Ho Hasrat Ho,
Jo Miley Khwaab Mein Woh Daulat Ho..
Main Tumhaare Hi Dum Se Zindaa Hun,
Marr Hi Jaun Jo Tumse Fursat Ho..
Kis Tarah Chor Dun Tumhe Jaana,
Tum Meri Zindagi Ki Aadat Ho..
Daastan Khatam Honey Waali Hai,
Tum Meri Aakhri Mohabbat Ho..!!

Friday, April 24, 2009

KhaaMosH.. ....

Raat Sun-Saan Dasht-o-Dar Khaamosh
Chaand Sitaare Shajar Hajar Khaamosh..
Har Taraf Ek Muheeb Sannaata
Dil Dhadhakataa Toh Hai Magar Khaamosh..
Huye Jaate Hai Kis Liye Aakhir
Humsafar Baat Baat Par Khaamosh..
Mukhtasar Ho Na Ho Shab-e-Taarikh
Humko Jalnaa Hai Raat Bhar Khaamosh..
Jaane Kya Baat Kar Rahey The Ki Hum
Ho Gaye Ek Naam Par Khaamosh.. ....!!