Sunday, March 28, 2010

KiTaaB-e-MaaZi

Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab Kitaab-e-maazi Ko Maine Khola
Bahut Say Chehre Nazar Mein Utrey
Bahut say Namon Pe Dil Paseeja 
Ek Aisa Safha Bhi Us Mein aaya
Likha Huya tha Jo Aasuon Se 
Jiska Unwan "Hamsafar" Tha
Woh Safha Sabse Hi Moutabar Tha
Ek Aur Aasun Fir Us Pe Tapka
Fir Is Se Aagey Main Parh Na Paayi
Kitab-e-Maazi Ko Band Karke
Usi Ki Yadoon Mein Kho Gayi Main
Agar Woh Milta Toh Kaisa Hota
Inhi Khayalon Mein So Gayi Main

Monday, March 22, 2010

JaHaaN ChoR DiYa..


har ek faisala har imtehaan chor diya
na chaahte huye bhi yeh jahaan chor diya
har ek faisala har imtehaan chor diya
har ek faisala.......

jab ismein saans bhi lena muhaal hone laga
toh hamane jism ka aakhir makaan chor diya
na chaahte huye bhi yeh jahaan chor diya
har ek faisala har imtehaan chor diya

zameen ko gher liya gum mein toh kahaan jaate
khuda ka shukr hai jo aasmaan chor diya
na chaahte huye bhi yeh jahaan chor diya
har ek faisala har imtehaan chor diya

bani jo bhoolbhulaiya hamaari raah-guzar
safar hayaat ka fir darmayaan chor diya
na chaahte huye bhi yeh jahaan chor diya
har ek faisala har imtehaan chor diya

Sunday, March 14, 2010

Ab ZinDaGi MeiN MohaBBaT NaHin Hai

jiyenge magar muskuraa naa sakenge,
ke ab zindagii mein mohabbat nahin hai..


labon pe taraane ab aa naa sakenge,
ke ab zindagii mein mohabbat nahin hai..


bahaare chaman mein jab aayaa karengii
nazaro kii mehfil sajaayaa karengii

nazaare bhii ham ko hansa na sakengii,
ke ab zindagii mein mohabbat nahin hai..


jawanii bulaayegii saawan kii raatein
zamaanaa karegaa mohabbat kii baatein
magar ham ye saawan manaa na sakenge,
ke ab zindagii mein mohabbat nahin hai!!