Sunday, December 28, 2008

Ab To SaHa Na JaaYe..!!


Raat Dhaley Tak Jagna APna
Karna Taaron Se Baatein
Subah Nasheeli Aankhen Lekar
Laali Ko Takna Jaatey
Kehte Hain Sab Pyaar Isey
Humko To Samajh Na Aaye
Roz Roz Ka Jagna Humse
Ab To Saha Na Jaaye..!!!!

Aankhon Mein Saagar Bhar Aana
Jhukna Bojhil Palkon Ka
Gaalon Par Dehki Garmi
Jalna dhak-Dhak Saanson Ka
Suntey Hain Yeh "GARAM HAWAAN"
Ab Aur Jalaa Na Jaaye
Roz Roz Ka Jagna Humse
Ab To Sahaa Na Jaaye..!!!!

Dhundley Se Yaadon Ke Saaye
Dhalna Pyaasi Shaamon Ka
Dard Ka Kaske Seeney Mein
Kahan "VIRHA SAUGAT" Isey
Ab Durr Rahan Na Jaaye
Roz Roz Ka Jagna Humse
Ab To Saha Na Jaaye..!!!!

Seeney Mein Tere Jo Dharka
Kya Mera Dil Hain Sajna
Nainon Se Mere Beh Nikla
Teri Yaadon Ka Jharna
Dil Dekar Dard Liya Humne
Chain Kahan Ab Paaye
Roz Roz Ka Jagna humse
Ab To Saha Na Jaaye..!!!!

Wednesday, December 24, 2008

Kya Kya DeKhuN..!!



Apni Rusvaayi Tere Naam Ka Charcha Dekhun,

Ek Zara Sher Kahun Aur Main Kya Kya Dekhun..


Neend Aa Jaaye Toh Kya Mehfiley Barpaa Dekhun,

Aankh Khul Jaaye Toh Tanhaayi Ka Sehraa Dekhun..


Shaam Bhi Ho Gayi Dhundhlaa Gayi Aankhey Bhi Meri,

Bhulaney Waaley Main Kab Tak Tera Raasta Dekhun..


Sab Zidey Uski Main Puri Karun Har Baat Sunu,

Ek Bacchey Ki Tarah Se Usey Hansta Dekhun..


Mujhpe Chaa Jaaye Woh Barsaat Ki Khushboo Ki Tarah,

Ang ang Apnaa Usi Rutt Mein Mehektaa Dekhun..


Tu Meri Tarah Se Yaktaa Hai Magar,

Mere Habib! Jee Mein aata Hai Koyi aur Bhi Tujhsa Dekhun..


Maine Jis Lamhey Ko Puja Hai Usey Bas Ek Baar,

Khwaab Bankar Teri aankhon Mein Utarta Dekhun..


Tu Mera Kuch Nahin Lagta Hai Magar,

Jaan-e-Hayaat Jaaney Kyo Tere Liye Dil Ko Dhadaktaa Dekhun..