
ghaTaaoN kii udaasii pii rahii huuN
maiN ek gehraa samandar ban gayii huuN
terii yaadoN ke angaaroN ko aksar
tasavvur ke laboN ko chuumtii huuN
koii pehchaan-ne vaalaa nahiiN hai
bhare baazaar meN tanhaa khaRii huuN
meraa qad kitnaa uuNchaa ho gayaa hai
falak kii vusatoN ko naaptii huuN
vo yuuN mujhko bhulaanaa chaahte haiN
vo yuuN mujhko bhulaanaa chaahte haiN
ke jaise maiN bhii koii haadisaa huuN
badalte mausamoN kii diary se
badalte mausamoN kii diary se
tere baare meN aksar puuchtii huuN
kisii kii yaad ke pattoN ko “Aazer”
havaaoN se bachaa kar rakh rahii huuN