
Banaa Gulaab Toh Kaantey Chubha Gaya Ek Shakhs,
Huya Chirag Toh Ghar Hi Jalaa Gaya Ek Shakhs...
Tamaam Rang Mere Aur Saare Khwab Mere,
Fasaana Keh Ke Fasaana Banaa Gaya Ek Shakhs...
Main Kis Hawaa Mein Udhun Kis Fazaa Mein Lehraaun
Dukhon Ke Jaal Har-Suu Bichaa Gaya Ek Shakhs...
Palat Sakun Main Na Aage Badh Sakun Jis Par
Mujhe Yeh Kaun Se Raaste Lagaa Gaya Ek Shakhs...
Mohabbat Bhi Ajeeb Uski Nafaratein Bhi Kamaal
Meri Tarah Kaa Hi Mujh Mein Samaa Gaya Ek Shakhs...
Woh Maahtab Tha Marham-Ba-Dast Aaya Tha Magar
Kuch Aur Siva Dil Dukha Gaya Ek Shakhs...
Khulaa Yeh Raaz Ke Aaina-Khaana Hai Duniya
Aur Is Mein Mujhko Tamaashaa Banaa Gaya Ek Shakhs...!!