Aye Dil-e-raayegan Udaas Udaas
Firr Rahein Ho Kahan Udaas Udaas
Chaand Ek Umr Se Safar Mein Hai
Aasmaan Aasaman Udaas Udaas
Jab Bhi Jhaank Kar Dekha Hai Dil Mein
Ho Gaya Sab Jahan Udaas Udaas
Zindagi Khel Hai Udaasi Ka
Hum Yahan, Tum Wahan Udaas Udaas
Ek Taraf Gam Hai Ek Taraf Khushiyaan
Aur Main Darmiyaan Udaas Udaas
No comments:
Post a Comment